top of page
Writer's pictureVinisha Gupta Markan

Ilm tha usse apni "Manzilon" ka.... by Krithika Iyer

Khula aasman tha, parvaaz ke liye par,

Sab kuch tha magar phir bhi kuch nahin,

Ilm tha usein apni manzilon ka,

Par ehsaas na tha usse paane ka,

Chaah bhi thi, raah bhi thi usein manzil dilane ke,

Saath tha zaamane ki,

Ilm tha use apni manzilon ka,

Par ehsaas na tha use paane ka,

Kehti thi na jaane kyun begaana sa lagta hai yeh sama,

Apne andar hi viran sa ashiyaan,

Chali jaa rahi thi ek bhatke hue musafir ki tarah,

Ilm tha use apni manzilon ka,

Par ehsaas na tha use paane ka,

Khushnaseeb thi ki use pyaar mila,

Apno ka aur anjaano ka,

Par batkismat apne se pyaar na kar payi,

Ilm tha use apne manzilon ka,

Par Ehsaas na tha use paane ka,

Taraashti hai khud ko jaise kisi ki talaash ho,

Par khud hi na jaane roke koi baat usko,

Yakeen hai ki ek din kaamyaab hogi,

Ilm hai use apne manzil ki,

Paayegi jab ehsaas hogi usein paane ka.....


P.C Pinterest


83 views0 comments

Recent Posts

See All

Comments


bottom of page